Aroo K Fawayd - Peach Benefits in Urdu



Aroo K Fawayd - Peach Benefits in Urdu

Aroo k Fawaid:

Aroo ya shaftalo pat jhar darakhton kay garoo mein sey hai. Khushbo, sheerni aur lazzat kay bayas yeh khas ahmiat rakhta hai. Es phal mein shakar, lamhi maadah, looha, phosphors aur maadni ajzaa hotay hain.

Aroo K Fawayd - Peach Benefits in Urdu

Tib yunani mein es kay phal khansi wagaira kay liye estemal hote hain. Phalon sey keerey maar dawaa tayar ki jati hai. Es kay tukham ka tail baloon ki zebaysh kay liye kar amad hai.

Aroo Ki Iqsaam:


Aroo ki iqsaam mein red french agaiti, traymph, gold jubilee, baibkaak, dgan ari alberta 4 alf, alberta aur golden blush mash'hoor hain. Jin kay size aur rang mein zara zara sa farak hota hai. Yeh June July mein peda hota hai. Khookh bhi esi ka naam hai. Yeh gool chiptaa, narm chiptaa aur sakhat iqsaam mein milta hai.



Aroo K Fawayd - Peach Benefits in Urdu


Aroo (Peach) Mein Ghazaye Ajzaa:


Aik medium size kay aroo mein 50 callories, 0.5 grams fat, 15 grams sugar, 2 grams fiber, 16.7 grams carbohydrate, 9mg calcium, 0.4mg iron, 14mg magnesium, 31mg phosphorus, 293mg potassium aur 1 gram protein hota hai.

Yeh aik aroo rozana ka 6 fisad vitamin A aur 15 fisad vitamin C ki zrorat ko pora karta hai. Aik medium size aroo mein vitamin E, K, Niacin, folate, iron, choline, potassium, phosphorus, manganese, zinc aur copper ki miqdar bhi paye jati hai. 



Aroo K Fawayd - Peach Benefits in Urdu


Aroo K Tabi Khawaas Aur Ilaaj:


Es phal ka sarad tar mezaaj hota hai. Kabaz kusha hai, Maydaa ko takat deta hai. Yeh bhook lgata hai. Blood pressure kay liye behad mufeed hai. Payas ko khatam karta hai. Jaryan ko rokta hai. Qoowat bah ko zayda karta hai.


Garmi ka galba safra mein kam karne mein muwaman hai. Baadi mezaj walon aur motay tazay logon kay liye fayday mand nahin hai. Balkeh nuqsaan deh hai.
Khana khaney kay do gantey bad esko khayn. Khaney kay baad khana durast nahin hai. Baadi aur motay insanoo ko adrak kay sath es ka estemal mozon hai.


Jigar aur maydah ko takat deta hai. Zia Bytas ko araam deta hai. Khoni bukhar khatam karta hai.Aroo ki gutli ka tail nikal kar kaan darad, behray pan aur bawaseer kay liye estemal karain , bay had mufeed hai.


Munh ki badboo ko aroo khatam kar deta hai. Aroo kay bad pani hargiz na peyn aur hamesha esay chilkay samait estemal karain.Ghee mein bhuni hoye zara c heang, aroo kay ras mein mila kar mareez ko pilaney sey pait kay kere halak ho jatay hain. Aroo kay phool khansi kay liye bay had mufeed hain.


Skin Care:

Aroo mein paya jane wala vitamin C skin kay liye buhat mufeed hai. Chehre ki jurion ko kam karta hai. Overall skin ko behter karta hai. Pollution aur soraj ki roshni kay muzer asraat sey skin ko bachata hai.



Aroo K Fawayd - Peach Benefits in Urdu


Mudafti Nizam:


Aroo ka istemal jisam kay mudafti nizam ko mazboot aur sehatmand banata hai. Jisam kay kam karne ki salahiat ko barh'hata hai aur insani jisam ko bemarion se pak rakhta hai. Es mein paye jane wala zinc aur vitamin C zakhmon ko aram deta hai aur infection nahin hone deta. Thand aur malaria se mehfooz rakhta hai.

Pregnancy Mein Istemal:

Pregnancy kay doran aroo ka istemal buhat fayda mand hai. Kuen k aroo mein buhat sey minerals aur vitamins hote hain. Vitamin C baby ki growth kay liye buhat aham hai jo keh hadion, danton, jilad, muscles aur khon ki nalion ki growth karta hai. Iron ko jazab karta hai jo keh pregnancy mein zaroori hota hai.


Nizam-e-Hazam Mein Behtri:

Aroo mein mojod fiber nizam-e-hazam kay system ko sahetmand aur barqarar rakhta hai. Aroo mein mojod fiber pani ko jazab karta hai aur Maida ki kharabion se nijat deta hai. Eska istemal bari ant ki safaye karta hai.

aur es mein mojod zehrele maadon ko kharij karta hai. Jin logon ko maiday ka problem rehta hai un logon kay liye ye phal kesi achi medicine se kam nahin hai. Maiday kay nizam ko behter banata hai aur esko bemarion sey pak rakhta hai.




Jisam Sey Zehrele Maadon Ka Ikhraj:

Aroo jisam ki safaye karta hai aur jisam se zehrele maadon ko kharij karta hai. Aroo ka istemal Jigar aur gurdon ki safaye karta hai aur nuqsan deh madon ka ikhraj karta hai.




Aroo K Fawayd - Peach Benefits in Urdu

Aroo K Bheej:


Aroo kay bheejon mein zehrele maday bhi paye jate hain es liye aroo kay bheejon ka zayda istemal nahin karna chahye ya phir dr. sey mashwara kay bad istemal karain.