Mangeo k Fawaid
Aam ki khasosiyat
Mangeo mein vitamin C Wafir miqdar me paya jata hai. Is mein vitamin A, b be-inteha hota hai.kaha jata hai.aam(mangeo mein saib(apple) sy 6 gunah zyda or orange se 40 gunah zyda vitamins paaye jate hain issi liye aam(mangeo) taameer-ae-jismmani k liye.
Nehayat kaar aamad or mufeed phal hai. Kamzor bachon ki nasho numa mein Bht mufeed hai. Aam kyn k bht zyda khoon paida krne wala phal hai is liye is k istemaal se Face par roshni or chamak aa jati hai. Doodh pilane wali aurton mein doodh ki miqdar barh jati hai. Aam wazan barhata hai or dil ko taqat deta hai. Aam khane k baad tabiyat khush rehti hai. Ye garmi or barish k mosm me khush zaiqah or sehat bakhsh phal hai.
Duniya mein sb sy zyda kasht kiya jane wala jangli phal aam hai or duniya bhar mein sb sy zyda istemaal b hota hai. Ye khoobsurat phal vitamin C k ilawa nisahsta dar ajza roghanyaat ajza se bhi mala hota ha. Is mein vitamin nishastah, roghanyaat ke elawah phosphorus, Caroline, folad, calcium, potassium bhi hota hai aam apne andar 25% glucose 75% pani b paye jaty hain.
Aam aanton k marz or bawaseer k liye bhi be had mufeed hai .. jism ki khushki , tilli k marz mein bhi mufeed hai pet k marz tazabiyat Etc.mein b faida deta hai yani y phal har marz ka ilaj hai . Be khuabi ki shikayat bhi door karta hai. Dimagh, pechish or maror mein bhi faida mand hai. Aam jism me khon paida krne k liye k bht mufeed he or jism par maas lane k liye mufeed he or mqvi ghiza hai jism ko red o white banata hai.
Kachy aam jism k liye mufeeed hote hain pyas bujhate hain or garmiyon k mosm mein looh lgne sy bachaye rakhte hain kache aam ki chatni bhook barhati hai.
Peshaab ki Zyadti
Qtrah qtrah aane ya aakhri umer ya marz k sabab bila ikhtiyar nikal jane mein bhi be had mufeed hai. zehar ka behtareen Hall hai. Aurton k amraaz mein aam be had mufeed hai. Zaaf dimagh, daimi sar dard or sar ko chkr ana ankho k agay andhera ana mein bhi mufeed hai. Aam yaddash or hafzay ki kamzori ko door karta hai.
Kche aam sham ko bhoon len or phir cursh kr len. raat bhar shabnam mein rehne dein phir subha thora sa zira htho me msl kr wo b bhuna howa, namak or kali mirch ka powder laga kar kha lein looh. kabhi asar nahi kare gi or ghair zaroori or garmi ki pyas bhi nahi lagy gi.
Kacha bhuna hua aam ka sharbat looh .k asar ko kam karta hai. Khata aam muzir sehat hai. Zukam or kharabi khoon ka bais hota hai galay or danton ko nuksaan phonchata hai.
Aam ki Shakh/tehni
Aam ki ptli shakh se maswak karne se munh ki badbo khtm hoti hai. Masuro say khoon niklna b band ho jata hai. or dant chamakne lag jate hain.
Aam k Patto ki Gum/gudah
Khushk zard patte jo khud nichy gir jate hain. sabz patton k joshanda sy gharary karne se galy ki kharish khtm ho jati he or balgham ki badboo k liye be had mufeed hai. pilly patton ka poder galy sary zakhamon or usme say niklny wali peep ko or peer dar zakhmon k liye aik behtrren tonic hai. in sy zakham khushk ho jate hain or kuch dino me hi wo thek ho jata he baki Allah Shiffa dene wala he.
Aam ki Khatayi
Ye qabaz hoti ha dast(motion) ko rokti hai, bawaseer me any waly khoon ko khatam karti he or. haiza ki bemri ko kam karti hai. Diabetes k marz mein pishab k zyda ane ko kam karti hai. hairs ko blck karne or sufaidi ko khatam karne mein la jawab hai.
Aam k Phool
Inhein bor bhi kehtein hain. lekorriya or ankho k liye be had mufeed hai. , bichu ya doosre zehrilay keery makory k kat jany par esk phol ka poder es par lagne say zehar ka asar kam ho jata he . Is k istemaal sy dard o jalan khtm ho jati hai.
Aam ka Achar
Ganjy pan ka behtareen ilaj hai. Baal ko tootne se rokta hai girte howe baalon ko mazboot karta hai.
Aap ne suna hoga k aam kel aam ghuthliyon k daam. So ye haqeeqat is say pata challti he k phool, shakh, phal sb kar k hone ki waja aam itna lazeez , khush zaika , dil pasand or faida mand phal ko Phalon ka Baadsha kehte hain





1 Comments
Apki info bht achi h
ReplyDelete