Kheere k Faide, fawaid in Urdu
Kheere ki Fasal bht Purani hai. aik Andaze k mutabiq kaha gaya he.is fasal ko sab say pehly Barma or Thailand k Area mein eski kashtkari ki gai thi. Yeh Grmi k mosm ki sabzi hai or is say ugnay k liye kafi garam mosam Hona chahiyee. Qudrat ki yeh thandi sabzi aap ki khoobsurti mein izafay ka aik imptnt sabab banti hai. Kheeray mein pani ki wafir muqdar mojood hoti hai. es me 96% pani hai.
or yeh aap k jism ko bht zyda pani paida krta he. khastor par mosam garma mein kheery ka istemaal bht zyda karna chahiye. Is fasal ki paidaa waar bhi bht zyda hai or yeh humaray jism ko thandak or tazgi pohnchata hai. Kheery mein shamil madiniyat skin ko jawan rakhti hain. Is mein potassium, magnesium or silicon wafir hoti hain.
Kheery aankhon ko tar-o-taza karta hai. Computer k samne kaam karne say jab aankhein dukhne lagti hain. to thandy kheeray ko gol style me kaat kar ankhein band kar k apni palkon par rakh lein.
Kheera Hairs or Nails ko chamakdar banata hai. Is mein shamil hairat angez (Silica) aap k Hairs or nails ko zyda chamakdar aur mazboot karta hai. Silica k ilawa kheere mein gandhaq bhi hota hai jo hairs ki afzaish mein Imptnt kirdar adda karta hai.
Kheera jism k andar or bahir ki garmi ko marta hai. Agar tzabyat k bais aap k siny mein jalan ho rahi hai to kheera k istmal say ye khtm ho jaati he.
Agar tez dhoop or looh ki waja say skin red ho rahi hai or jalan naqabil e bardasht ho chuki hai to kheery ko crush kar jism par mal lein thandak ka ehsaas ho ga.
Jism mein jo faltu maday jama hotay hain, kheera inhein bahir nikalnay mein madad deta hai. Kheeray mein shamil pani dara asal is jharoo ka kam karta hai jo jism ki tamam faltu paidawar ko bahir ka rastah dikhata hai. Yahan tak k jo log Roza kheera khaty hain in k gurday ki pathri k tukry ho kr pishap k sath bahir ana shuru ho jati he
Kheeray mein tqreeban tamam zaroori vitamin mojood hain jin ki jism ko Rozana ki bunyaad par zaroorat hoti hai. Vitamin A,B, or C aap k jism me taqt paida krty hain or jism ko tawana kartay hain, aap ko chust chakkal rakhtay hain aur tawanai say bhar dete hain.
Agar aap kheeray k sath palak aur gajar ko bhi shamil kar k in ka juice bana lein to ye zyda mufeed ho ga lekin kheyal rahy k kheeray or gajar ko cheel kar juicer mein na dalein is liye k sirf in k chilkay mein vitamin C ki itni miqdar hoti hai jo aap ki rozana ki bundyad par jo vitaman ki zarort he usko 12% pura kr skti hai.
Kheere say khana hazam karny or wazan kam karny mein madad milti hai. kyn k is mein pani bht hota hai or motapay k azza na hony k barabar hoty hain is liye kheera in logon k liye ideal ghiza hai jo apna wazan kam krna chahty hain. Apny soup or saladon mein dil khol kar kheera istemaal karein.
Agar sada kheera aap ko psand nahi hai to phir km chiknai walay dahi mein is k lamby tukry kat len.or dahi me dubo kar khaya karein. Kheera chabany se aap k jabron ki b warzish ho jati hai or is mein jo reshy hoty hain, in say khana hazam karny mein madad militi hai. Jin logon ko aksar qabz ki shikayat hoti hai, wo rozana kheera kha kar aazmayein.
Kheere mein cancer ka moqabala karny ki b Taqat hoti hai. Is mein 3 Qism k Qudrti ajza paye jatty hain.
yeh 3no kimyai markabat mukhtalif qisam k cancer ka khatra Km hain. jin mein gally ka cencer, chati, prostest aur blod ka cencer shamil hain.
Shugar, high cholesterol or high blood pressure k marizon k liye kheera anmol hira hai. Kheere k juice mein aik hormon shamil hota hai jis k raishy ki khal ko insoleen bnanne k liye zaroori hota he .
Kheeray mein shamil is hormon say shugar k marizon ko bht faida ho skta hai. Researcher nay apni tehqeeq mein ye b dekha hai k kimyayi morakkabat sterols say khoon mein cholesterol k ajza km ho jaty hain. Kheere mein bht zyda reshay potassium or magnesium paye jate hai.
Kheera muo kay amraaz say bi mehfooz rakhta hai. Masoron me agar sozissh hojyee or in say khoon nikly to kheere ka juice istemaal karein. Agar aap k muo say smell aati hai to kheere ka aik tukra katein or issay apni zuban ki madad say taloo par ½ minute tak dabaye rakhein.
Joron k dard or angithiya k marieez b kheere say shiffa hasil kar skty hain. kyn k kheeray mein silica ki wafir miqdar hoti hai is liye y joron ko jornay waly tissue ko sehat mand rakh kar joron ko bi faida pohnchati hai.
Kheere ki uric acid kn karny ki salahiyat ki waja say gurday b sehat mand rehtay hain.
Agar subha so kar uthny k baad sar bhari rehta hai ya sar mein dard mehsoos karty hain to bistar par jane say pehly kheere k kuch Tukre kha lein. Kheery mein wafir miqdar vitamins B, shakkar or alectoris hote hain jo bhtt c zaroori ghizaiyato ki kam puri kar dety hain.
4 Comments
Apki information bohat achi ha kmaal ha .
ReplyDeleteshukriya
ReplyDeletekindly agay b share kr den
ReplyDeleteکھیرا بے شمار فوائد کا حامل ہے۔ یہ کچی سبزی کے طور پر کھایا جاتا ہے اور عام طور پر سلاد میں استعمال ہوتا ہے۔ یہ خربوزے اور کدو کی فیملی سے تعلق رکھتا ہے۔ کھیرے کا پودا بیل دار ہوتا ہے۔
ReplyDeleteکھیرے کے فوائد