Facial hair removal tips






Khawateen ke chehray aur jism ke deegar hisson par ghair zurori baal hotay hain jin ka koi khaas kaam nahi hota aur bad numa mehsoos hotay hain. Aksar khawateen chehray aur jism ke deegar hisson par mojood in ghair zaroori balon ki wajah se pareshan rehti hain, jo aankhon ke ird gird, peshani, thori, honton ke upri hisse aur chehre ke atraaf mojood hotay hain
Jab ke khawateen un ghair zaroori balon se mukammal nijaat panay ke liye mukhtalif tareeqa kar jaise bleaching, threading, razores, hair removal cream ka istemal karte hain lekin woh un se mustaqil nijat hasil karne mein kamyab nahi hota.
Khawateen ki ghair zaroori balon se mustaqil nijaat ki pareshani ko dekhte hue mandarja zail chand Facial hair removal tips aur gharelo totkay bataye gaye hain jin par amal kar khawateen ghair zaroori jismani balon se kuch arsay mein mustaqil nijaat haasil kar sakti hain.

Facial hair removal tips & tricks


Ghair zaroori balon se chutkara pane ke liye khawateen bleaching, threading ke ilawa deegar tariqa jaise hair removal creams, lotion aur deegar kimiyai masnoaat ka istemaal karte hai, jo sirf arzi nataij maratab karte hain.
Haqeeqat mein un tareeqon ka istemal ghair zaroori balon ki nash-o-numa ko ziyada mutharrak kar deta hai, jo jild par sakht asraat muratab karte hain. In tarikon ki bajaye agar batayi gayi facial hair removal tips par amal kia jaye to khawateen chand hafton main in ghair zaroori balon ki nash-o-numa ko rok kar un se mustaqil nijaat bhi pa sakti hain.

Tips:1/

Chehray aur jism ke dosray hisson par mojood ghair zaroori balon ko khatam karne ke liye besan ka istemaal sab se qadeem aur azmooda tareeqa hai. Besan aur pani ko mila kar creamy paste bana kar ghair zaroori balon par lagayen aur halka sa khushk hone par ragar kar utaar len, is se nah sirf ghair zaroori balon ka khatma ho ga bal ke jild bhi naram o mulaem ho jaye gi.

Tips:2/

Aik cup pani mein 30 gram cheeni aur 2 chamach lemoo ka ras mila len.Is paste ko chehray aur jism ke ghair zaroori balon par lagayen. Taqreeban 20 minute baad jild ko dho len. Behtareen nataij ke liye is amal ko haftay mein aik martaba zaroor dohrayen, Chand hafton main balon ki afzaish main waze kami aa jay gi.

Tips:3/

Aaloo aur masoor ki daal pees kar laip bana len, is laip ko ghair zaroori balon par 15 minute tak lagaye aur dho len. Is tareeqa se nah sirf balon ke dobarah ugnay mein kami aaye gi balke jild ki rangat bhi nikhar jayegi. Kyun ke aaloo mein qudrati bleaching ajiza paye jate hain.

Tips:4/

Kelay ko masal kar is mein jai mila len. Is scrub ko ghair zaroori balon par laip karen aur 15 se 20 minute baad matlooba jald ko dho len. Is Scrub ko haftay mein kam az kam aik martaba zaroor istemaal karen. Chand hafton ke mustaqil istemaal se ghair zaroori balon se mukammal nijaat mil jaye gi.

Tips:5/

Haldi aur Papita ke juice ko mila kar kareemi paste bana len. Is paste ko chehray aur jism ke ghair zaroori balon par taqreeban 15 minute taq lagayen aur bhar ragar ko dho len. Yeh paste nah sirf balo ki nasho-numa rokne mein madad gaar hai balkay jald ko naram o mulaem aur khobsorat bana de ga.